Kuch ankahi baaton se …
Bayaan kar jaate hai…
Kuch dil se nagme pyaar ke gun gunate hain…
Kya kahe kora kaagaz kabhi…
Dard toh usme bhi hota hain…
Izhaar naa kare kabhi…
Ki jalna usko bhi hota hai
Kahi nahi kabhi kisise dastaan apni
Ki doosron ke zazbaat hi woh kehta hai…
Kitna komal hai…
Kitna maasum… hai
Sab ke sapno ko aakar deta hain…
Lafzon ko uska aadhikar deta hai…
Sunta hain sabhi ki kahani hamesha
Apna kissa kabhi naa kisi se kehta hain…
Log kehte hain ki,
Maa se badkar nahi kuch is duniya mein…
Kyunki khamoshi ka izhaar, kabhi kisi ne kaha dekha hai…
Ki kore kaagaz si hai kahani aapki
Jiye hamesha dusron ke liye…
Zaahir yeh kabhi naa kiya aapne
Aapke armaano ko pankh main aaj lagaunga,
Kore kaagaz ki kahani aaj sunaunga
Mere Papa the Great ……