Kasam-e-deedar kiya karte hain…
Chahat ko apni, hum chupa liya karte hain…
Gul khilte hai… Kashmir ki vaadiyon mein….
Kashti apne pyaar ki, yaadon mein hum saja liya karte hain…
Awaara naa kaho, ai yar mere….
Ki aasman aur zameen kabhi mil sakte nahi….
Khabar hai is dil ko…
Ki uske jaane se yeh toot jayega…
Par khwabon ko takdeer hum bana sakte nahi
Sach hai ki pyaar kabhi marta nahi…
Par is ek lamhe ko, apni zindagi hum bana sakte nahi
Duniya ki parwaah nahi…hai oh yar mere…
Ki kisi ki zindagi ko apne aansuon se hum saja sakte nahi….
Bewafa hame samjho to koi gila hame nahi….
Par tumhari yaadon ko apni saanson se mita sakte nahi…..
Ki uff bhi naa karenge apni maut par….
Par daaman tumhara… tanhayee se bhar sakte nahi…
Kaisi ajab yeh uljhan hai…
Ki jisse pyaar kare sabse jyada hum…
Usse apna bana sakte nahi…