Rail ki tarah daud rahi hai yeh zindagi….
Na ruke yeh kisi dagar….
Na thame yeh koi sahar….
Samay ki har chot ko sahte.., Yeh chali jaa rahi hai….
Sapne kahi choot gaye…,Apne kahi ruth gaye….
Par Yeh Rassta na choota…,Yeh haunsla naa toota…
Vaadiyon ke paar chali jaa rahi hai…
Anjaana koi lamha gun..guna rahi hai…
Pyaar ka woh lamha..phir se aayega…
Mausam woh savan ka laut ke aayega…
Zindagi ko ….zindagi se…ladte hue..
Woh mast baadal ki tarah udti chali jaa rahi hai…
Ajab hai yeh zindagi ki dastaan…
Raaste ke kaarvan…par, Yeh aasron ka aashiyana basa rahi hai…